kaun kahta hai kuchh bhala na hua
kaun kahtā hai kuchh bhalā na huā
kaam terā koī burā na huā
terā chāhā huā to kyā na huā
haañ magar kuchh mirā kahā na huā
naam hī naam ḳhizr kā sun lo
koī apnā to rahnumā na huā
vo bashar kyā ki zaat se jis kī
dūsre kā kabhī bhalā na huā
tuf hai us par ki jis se ai 'iffat'
kaam hī koī kaam kā na huā
kaun kahta hai kuchh bhala na hua
kaam tera koi bura na hua
tera chaha hua to kya na hua
han magar kuchh mera kaha na hua
nam hi nam KHizr ka sun lo
koi apna to rahnuma na hua
wo bashar kya ki zat se jis ki
dusre ka kabhi bhala na hua
tuf hai us par ki jis se ai 'iffat'
kaam hi koi kaam ka na hua
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 109)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.