kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga
kaun kahtā hai tire dil meñ utar jā.ūñgā
maiñ to lamha huuñ tujhe chhū ke guzar jā.ūñgā
shab ke chehre meñ koī rañg to bhar jā.ūñgā
chal paḌā huuñ to maiñ ab tā-ba-sahar jā.ūñgā
āsmānoñ kī safeñ kaaT ke pahuñchā thā yahāñ
ab tirī aañkh se TuuTā to kidhar jā.ūñgā
apnī nazroñ kā koī dā.era ban ke mire gird
varna in tez havāoñ meñ bikhar jā.ūñgā
kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga
main to lamha hun tujhe chhu ke guzar jaunga
shab ke chehre mein koi rang to bhar jaunga
chal paDa hun to main ab ta-ba-sahar jaunga
aasmanon ki safen kaT ke pahuncha tha yahan
ab teri aankh se TuTa to kidhar jaunga
apni nazron ka koi daera ban ke mere gird
warna in tez hawaon mein bikhar jaunga
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 68)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.