kaun kahta hai tum ada na karo
kaun kahtā hai tum adā na karo
par vafā kī jagah jafā na karo
sarv kaT jā.eñge pisegī hinā
is tarah baaġh meñ phirā na karo
hañs rahe haiñ abhī ḳhushī meñ vo
mere rone kā tazkira na karo
zaḳhm-e-dil par na ho namak-pāshī
is maze se to āshnā na karo
hai qayāmat tumhārī aTkhelī
hashr ai jān-e-man bapā na karo
ḳhirman-e-dil pe barq girtī hai
mere rone pe tum hinsā na karo
ne.amat-e-ishq hai ye dāġh-e-jigar
shukr-e-haq ke sivā gilā na karo
hai shab-e-vasl be-takalluf ho
shoḳhiyāñ kahtī haiñ hayā na karo
huuñ giraftār-e-ulfat-e-gesū
mujh ko bahr-e-ḳhudā rihā na karo
shauq kahtā hai ḳhud chale jaao
minnat-e-nāma-bar kiyā na karo
dil lagānā burā hai ai 'ājiz'
chup raho us kā tazkira na karo
kaun kahta hai tum ada na karo
par wafa ki jagah jafa na karo
sarw kaT jaenge pisegi hina
is tarah bagh mein phira na karo
hans rahe hain abhi KHushi mein wo
mere rone ka tazkira na karo
zaKHm-e-dil par na ho namak-pashi
is maze se to aashna na karo
hai qayamat tumhaari aTkheli
hashr ai jaan-e-man bapa na karo
KHirman-e-dil pe barq girti hai
mere rone pe tum hinsa na karo
neamat-e-ishq hai ye dagh-e-jigar
shukr-e-haq ke siwa gila na karo
hai shab-e-wasl be-takalluf ho
shoKHiyan kahti hain haya na karo
hun giraftar-e-ulfat-e-gesu
mujh ko bahr-e-KHuda riha na karo
shauq kahta hai KHud chale jao
minnat-e-nama-bar kiya na karo
dil lagana bura hai ai 'ajiz'
chup raho us ka tazkira na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.