kaun kahta hai yar ne mara
kaun kahtā hai yaar ne maarā
yaar ke intizār ne maarā
kuchh tire intizār ne maarā
kuchh dil-e-be-qarār ne maarā
bātoñ bātoñ meñ dil ko le hī gayā
mujh ko zālim ke pyaar ne maarā
ho piyāle meñ qul ke bāda-e-nāb
mujh ko ik bāda-ḳhvār ne maarā
nigah-e-nāz ne agar chhoḌā
teġh-e-abrū-e-yār ne maarā
us ne va.ada kiyā qayāmat kā
mujh ko is intizār ne maarā
'ranj' duniyā ne shaiḳh ko mujh ko
ġham-e-roz-e-shumār ne maarā
vasl meñ ġhair kā gila kyā ḳhuub
mujh ko dar-parda yaar ne maarā
sar-e-mahfil liTā liTā ke mujhe
shoḳhī-e-chashm-e-yār ne maarā
abhī martā na maiñ mujhe ai 'ranj'
āfat-e-rozgār ne maarā
kaun kahta hai yar ne mara
yar ke intizar ne mara
kuchh tere intizar ne mara
kuchh dil-e-be-qarar ne mara
baaton baaton mein dil ko le hi gaya
mujh ko zalim ke pyar ne mara
ho piyale mein qul ke baada-e-nab
mujh ko ek baada-KHwar ne mara
nigah-e-naz ne agar chhoDa
tegh-e-abru-e-yar ne mara
us ne wada kiya qayamat ka
mujh ko is intizar ne mara
'ranj' duniya ne shaiKH ko mujh ko
gham-e-roz-e-shumar ne mara
wasl mein ghair ka gila kya KHub
mujh ko dar-parda yar ne mara
sar-e-mahfil liTa liTa ke mujhe
shoKHi-e-chashm-e-yar ne mara
abhi marta na main mujhe ai 'ranj'
aafat-e-rozgar ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.