kaun kahta hai zamane ke liye zinda hun
kaun kahtā hai zamāne ke liye zinda huuñ
maiñ to bas aap ko paane ke liye zinda huuñ
aap farmā.eñ sitam shauq se phir bhī maiñ to
aap ke naaz uThāne ke liye zinda huuñ
kaun is daur meñ hotā hai kisī kā sāthī
zindagī tujh ko nibhāne ke liye zinda huuñ
jo tire pyaar kā sadiyoñ se hai vājib mujh par
haañ vahī qarz chukāne ke liye zinda huuñ
hākim-e-vaqt ne jo aag lagā.ī hai yahāñ
maiñ vahī aag bujhāne ke liye zinda huuñ
jo taraqqī pe na.e logoñ kī jalte haiñ 'anā'
maiñ unheñ hosh meñ laane ke liye zinda huuñ
kaun kahta hai zamane ke liye zinda hun
main to bas aap ko pane ke liye zinda hun
aap farmaen sitam shauq se phir bhi main to
aap ke naz uThane ke liye zinda hun
kaun is daur mein hota hai kisi ka sathi
zindagi tujh ko nibhane ke liye zinda hun
jo tere pyar ka sadiyon se hai wajib mujh par
han wahi qarz chukane ke liye zinda hun
hakim-e-waqt ne jo aag lagai hai yahan
main wahi aag bujhane ke liye zinda hun
jo taraqqi pe nae logon ki jalte hain 'ana'
main unhen hosh mein lane ke liye zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.