kaun kahta mujhe shaista-e-tahzib-e-junun
kaun kahtā mujhe shā.ista-e-tahzīb-e-junūñ
maiñ tirī zulf-e-pareshāñ ko agar chheḌ na duuñ
kaun hasrat-zada-e-shauq-e-takallum hai yahāñ
laḌkhaḌātā hai tirī chashm-e-suḳhan-go kā fusūñ
ye hujūm-e-ġham-e-daurāñ meñ kahāñ yaad rahā
dāstān-e-ġham-e-dil tere taġhāful se kahūñ
kyā ḳhabar ḳhema-e-lailā ke nigahbānoñ ko
ki harīm-e-dil-e-lailā meñ hai mehmān-e-junūñ
rañg rah rah ke tire ruḳh kā uḌā jaatā hai
varna maiñ aur tirī mahfil-e-tamkīñ se uThūñ
qaid-e-hastī meñ ye ik gosha-e-dāmān-e-ḳhayāl
phir ġhanīmat hai ki zindāñ meñ bhī āzād to huuñ
ho salīqe se bahaknā to maza detā hai
mire saaqī ko gumāñ hai ki bahut hosh meñ huuñ
justujū kī koī manzil jo nahīñ hai to na ho
himmat-e-ishq ye kahtī hai ki baḌhtā hī rahūñ
ab tire haal pe tujh ko dil-e-nādāñ chhoḌā
sochnā bhī to qayāmat hai kahāñ tak sochūñ
maiñ ne pahchān liyā us ko sar-e-bazm 'ravish'
us kī āñkhoñ ko hai isrār ki ḳhāmosh rahūñ
kaun kahta mujhe shaista-e-tahzib-e-junun
main teri zulf-e-pareshan ko agar chheD na dun
kaun hasrat-zada-e-shauq-e-takallum hai yahan
laDkhaData hai teri chashm-e-suKHan-go ka fusun
ye hujum-e-gham-e-dauran mein kahan yaad raha
dastan-e-gham-e-dil tere taghaful se kahun
kya KHabar KHema-e-laila ke nigahbanon ko
ki harim-e-dil-e-laila mein hai mehman-e-junun
rang rah rah ke tere ruKH ka uDa jata hai
warna main aur teri mahfil-e-tamkin se uThun
qaid-e-hasti mein ye ek gosha-e-daman-e-KHayal
phir ghanimat hai ki zindan mein bhi aazad to hun
ho saliqe se bahakna to maza deta hai
mere saqi ko guman hai ki bahut hosh mein hun
justuju ki koi manzil jo nahin hai to na ho
himmat-e-ishq ye kahti hai ki baDhta hi rahun
ab tere haal pe tujh ko dil-e-nadan chhoDa
sochna bhi to qayamat hai kahan tak sochun
main ne pahchan liya us ko sar-e-bazm 'rawish'
us ki aankhon ko hai israr ki KHamosh rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.