kaun Khaaliq hai kaisi murat hai
kaun ḳhāliq hai kaisī mūrat hai
terī sūrat ajiib sūrat hai
ye fasāna nahīñ haqīqat hai
ki mujhe aap se mohabbat hai
dil kī hālat sambhālne ke liye
shab-e-ġham aap kī zarūrat hai
munjamid ḳhuun ho gayā dil meñ
kitnī pur-lutf terī sūrat hai
aap ne hausla diyā mujh ko
paas aane kī ye jasārat hai
barmalā rūThnā bahal jaanā
kitnī dilchasp ye adāvat hai
kaun KHaliq hai kaisi murat hai
teri surat ajib surat hai
ye fasana nahin haqiqat hai
ki mujhe aap se mohabbat hai
dil ki haalat sambhaalne ke liye
shab-e-gham aap ki zarurat hai
munjamid KHun ho gaya dil mein
kitni pur-lutf teri surat hai
aap ne hausla diya mujh ko
pas aane ki ye jasarat hai
barmala ruThna bahal jaana
kitni dilchasp ye adawat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.