kaun kis ka raqib hai jaanan
kaun kis kā raqīb hai jānāñ
apnā apnā nasīb hai jānāñ
is zamāne se rasm-o-rāh na rakh
ye zamāna ajiib hai jānāñ
shahr-e-zulmat meñ din kā sūraj bhī
raat usī kā nasīb hai jānāñ
zindagī se mufāhamat kyā ho
zindagī kuchh ajiib hai jānāñ
shādmānī se bahra-var ho leñ
ġham kī saa.at qarīb hai jānāñ
kuchh ināyat idhar bhī ho jaa.e
dil ye muflis ġharīb hai jānāñ
kaun dastak ye de rahā hai 'nasīm'
koī shā.ir adiib hai jānāñ
kaun kis ka raqib hai jaanan
apna apna nasib hai jaanan
is zamane se rasm-o-rah na rakh
ye zamana ajib hai jaanan
shahr-e-zulmat mein din ka suraj bhi
raat usi ka nasib hai jaanan
zindagi se mufahamat kya ho
zindagi kuchh ajib hai jaanan
shadmani se bahra-war ho len
gham ki saat qarib hai jaanan
kuchh inayat idhar bhi ho jae
dil ye muflis gharib hai jaanan
kaun dastak ye de raha hai 'nasim'
koi shair adib hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.