kaun kis ke sath rahta hai makan hote hue bhi
kaun kis ke saath rahtā hai makāñ hote hue bhī
kaun chaltā hai zamīñ par āsmāñ hote hue bhī
kaun jaane ḳhair kā pahlū kahīñ raushan ho shāyad
ham tumhāre shahr meñ haiñ be-amāñ hote hue bhī
tez bārish meñ bhī kitne pyaas ke maare paḌe haiñ
dhuup meñ jalte haiñ kitne sā.ebāñ hote hue bhī
is añdherī raat meñ vo chāñd niklegā yahāñ se
ik darīcha ain-mumkin hai gumāñ hote hue bhī
nau-shagufta ik shajar kā qad nikalnā hai qayāmat
aur us kā be-ḳhabar honā javāñ hote hue bhī
koī titlī gul kā chehra chūmtī rahtī hai aksar
phailtī rahtī hai ḳhushbū rā.egāñ hote hue bhī
is ghane jangal kā jalnā apnī sarhad se nikalnā
bastiyoñ ko yaad hai sab kuchh dhuāñ hote hue bhī
māhī-e-be-āb sā betāb hai saarā zamāna
aur maiñ shādāb huuñ ātash-bajāñ hote hue bhī
zindagī maiñ ne tumheñ har haal meñ ābād rakkhā
rote hañste jiite marte be-nishāñ hote hue bhī
rāh-e-sheristāñ se guzrā hai koī 'ḳhurshīd-akbar'
'mīr' o 'ġhālib' kā ilāqa darmiyāñ hote hue bhī
kaun kis ke sath rahta hai makan hote hue bhi
kaun chalta hai zamin par aasman hote hue bhi
kaun jaane KHair ka pahlu kahin raushan ho shayad
hum tumhaare shahr mein hain be-aman hote hue bhi
tez barish mein bhi kitne pyas ke mare paDe hain
dhup mein jalte hain kitne saeban hote hue bhi
is andheri raat mein wo chand niklega yahan se
ek daricha ain-mumkin hai guman hote hue bhi
nau-shagufta ek shajar ka qad nikalna hai qayamat
aur us ka be-KHabar hona jawan hote hue bhi
koi titli gul ka chehra chumti rahti hai aksar
phailti rahti hai KHushbu raegan hote hue bhi
is ghane jangal ka jalna apni sarhad se nikalna
bastiyon ko yaad hai sab kuchh dhuan hote hue bhi
mahi-e-be-ab sa betab hai sara zamana
aur main shadab hun aatash-bajaan hote hue bhi
zindagi main ne tumhein har haal mein aabaad rakkha
rote hanste jite marte be-nishan hote hue bhi
rah-e-sheristan se guzra hai koi 'KHurshid-akbar'
'mir' o 'ghaalib' ka ilaqa darmiyan hote hue bhi
- Book : FALAK PAHLOO MEIN (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.