kaun sa ishq-e-butan mein hamein sadma na hua
kaun sā ishq-e-butāñ meñ hameñ sadma na huā
dard-e-furqat na huā ġham na huā kyā na huā
ġhair ne baat to kī baat to pūchhī merī
ḳhair se tum ko to itnā bhī salīqa na huā
mahv-e-hairat haiñ to donoñ haiñ tirī mahfil meñ
ham se pardā huā ā.īñe se pardā na huā
un kī ye ḳhūbī-e-aḳhlāq ki va.ada to kiyā
merī ye shomī-e-taqdīr ki iifā na huā
jazba-e-ishq se ham un ko bulā lete 'rasā'
ye bhī kambaḳht tabī.at ko gavārā na huā
kaun sa ishq-e-butan mein hamein sadma na hua
dard-e-furqat na hua gham na hua kya na hua
ghair ne baat to ki baat to puchhi meri
KHair se tum ko to itna bhi saliqa na hua
mahw-e-hairat hain to donon hain teri mahfil mein
hum se parda hua aaine se parda na hua
un ki ye KHubi-e-aKHlaq ki wada to kiya
meri ye shomi-e-taqdir ki ifa na hua
jazba-e-ishq se hum un ko bula lete 'rasa'
ye bhi kambaKHt tabiat ko gawara na hua
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.