kaun sa jadu hai yarab us nigah-e-naz mein
kaun sā jaadū hai yārab us nigāh-e-nāz meñ
dekhtā huuñ jab to paatā huuñ na.e andāz meñ
maut thī mere liye terī nigāh-e-nāz meñ
zindagī kā raaz thā tere lab-e-ejāz meñ
saaf tasvīreñ nazar aatī haiñ husn-o-ishq kī
tujh ko mere ijz meñ aur mujh ko tere naaz meñ
apne zindāñ ko uḌā kar baaġh meñ le jaa.eñ ham
lekin ab tāqat kahāñ itnī par-e-parvāz meñ
kaun sa jadu hai yarab us nigah-e-naz mein
dekhta hun jab to pata hun nae andaz mein
maut thi mere liye teri nigah-e-naz mein
zindagi ka raaz tha tere lab-e-ejaz mein
saf taswiren nazar aati hain husn-o-ishq ki
tujh ko mere ijz mein aur mujh ko tere naz mein
apne zindan ko uDa kar bagh mein le jaen hum
lekin ab taqat kahan itni par-e-parwaz mein
- Book : Gohristaan Shokat Thanvi (Pg. 86)
- Author : Allama Siimab Siddiqui Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.