kaun sanson ko rokta meri
kaun sāñsoñ ko roktā merī
ruuh tak ab hai lāpata merī
maiñ bhī us kā ḳhayāl kar letī
vo agar baat māntā merī
vo zamāne kī baat suntā thā
ḳhairiyat kyā vo jāntā merī
us ne pahle ḳharāb kī bāteñ
phir vo har baat kāTtā merī
ik sahārā thā ghar meñ pankhe kā
kaun rassī ko khīñchtā merī
kaun sanson ko rokta meri
ruh tak ab hai lapata meri
main bhi us ka KHayal kar leti
wo agar baat manta meri
wo zamane ki baat sunta tha
KHairiyat kya wo jaanta meri
us ne pahle KHarab ki baaten
phir wo har baat kaTta meri
ek sahaara tha ghar mein pankhe ka
kaun rassi ko khinchta meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.