kaun samajhta hai raston ka Khaali-pan
kaun samajhtā hai rastoñ kā ḳhālī-pan
manzil dekh rahī qadmoñ kā ḳhālī-pan
ek kahānī jhel nahīñ saktī aksar
us ke achchhe kirdāroñ kā ḳhālī-pan
koī dahshat paañv pasāre baiThī hai
dekh rahā huuñ in galiyoñ kā ḳhālī-pan
mai-ḳhānoñ ko raas nahīñ aatā aksar
mai-ḳhānoñ meñ paimānoñ kā ḳhālī-pan
koī titlī hai na koī bhañvrā hai
maalī dekh rahā bāġhoñ kā ḳhālī-pan
kaun samajhta hai raston ka KHali-pan
manzil dekh rahi qadmon ka KHali-pan
ek kahani jhel nahin sakti aksar
us ke achchhe kirdaron ka KHali-pan
koi dahshat panw pasare baiThi hai
dekh raha hun in galiyon ka KHali-pan
mai-KHanon ko ras nahin aata aksar
mai-KHanon mein paimanon ka KHali-pan
koi titli hai na koi bhanwra hai
mali dekh raha baghon ka KHali-pan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.