kaun samjhega bhala yan ek dukhiyare ka dukh
kaun samjhegā bhalā yaañ ek dukhiyāre kā dukh
kis ko fursat hai sune vo mujh se banjāre kā dukh
hālat-e-dil rū-barū us ke bayāñ jūñhī karūñ
kaash vo samjhe usī lamhe meñ bechāre kā dukh
Dhol piiTā jā rahā hai 'ahd kī tauqīr kā
kaun samjhe is sadī ke Dūbte taare kā dukh
mujh ko andāza nahīñ hai vus’at-e-aflāk kā
par sunā hai 'arsh tak jaatā hai dil-hāre kā dukh
kaun samjhega bhala yan ek dukhiyare ka dukh
kis ko fursat hai sune wo mujh se banjare ka dukh
haalat-e-dil ru-baru us ke bayan junhi karun
kash wo samjhe usi lamhe mein bechaare ka dukh
Dhol piTa ja raha hai 'ahd ki tauqir ka
kaun samjhe is sadi ke Dubte tare ka dukh
mujh ko andaza nahin hai wus’at-e-aflak ka
par suna hai 'arsh tak jata hai dil-haare ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.