kaun samjhega mere baad ishaare uske
kaun samjhegā mire ba.ad ishāre us ke
TuuT kar ḳhaak meñ milte haiñ sitāre us ke
ab hameñ aañkh uThā kar nahīñ taktā vo shaḳhs
kitne mazbūt marāsim the hamāre us ke
jo samundar mire atrāf ravāñ hai sar-e-ḳhāk
DhūñDhtā rahtā huuñ din-rāt kināre us ke
us kā nuqsān haqīqat meñ mirā apnā hai
mere hisse hī meñ aate haiñ ḳhasāre us ke
kitnī āsānī se dekhā thā use patthar meñ
kitnī mushkil se ḳhad-o-ḳhāl sañvāre us ke
saut meñ jitnā ḳhalā hai use pur kar de sadā
is tasalsul se koī naam pukāre us ke
ḳhatm ho saktī hai 'az.har' ye laḌā.ī apnī
ab bhī kuchh log salāmat haiñ hamāre us ke
kaun samjhega mere baad ishaare us ke
TuT kar KHak mein milte hain sitare us ke
ab hamein aankh uTha kar nahin takta wo shaKHs
kitne mazbut marasim the hamare us ke
jo samundar mere atraf rawan hai sar-e-KHak
DhunDhta rahta hun din-raat kinare us ke
us ka nuqsan haqiqat mein mera apna hai
mere hisse hi mein aate hain KHasare us ke
kitni aasani se dekha tha use patthar mein
kitni mushkil se KHad-o-KHal sanware us ke
saut mein jitna KHala hai use pur kar de sada
is tasalsul se koi nam pukare us ke
KHatm ho sakti hai 'azhar' ye laDai apni
ab bhi kuchh log salamat hain hamare us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.