kaun se aalam mein le aaya hai mera dil mujhe
kaun se aalam meñ le aaya hai merā dil mujhe
DhūñDhtī phirtī hai har jānib merī manzil mujhe
maiñ to ik shīsha thā shahr-e-sang meñ kyoñ aa gayā
zinda rahnā ho gayā hai ab bahut mushkil mujhe
azm-e-mohkam ho to ban jaatā hai maqsad rāhbar
ḳhud sahārā degī fikr-e-dūrī-e-manzil mujhe
nāḳhudā se kyā ġharaz parvarda-e-tūfāñ huuñ maiñ
mauj ke dāman meñ aatā hai nazar sāhil mujhe
jo mire kal tak rahe the ham-ḳhayāl-o-ham-nigāh
aaj unheñ pahchānñā bhī hai bahut mushkil mujhe
sunñe vaalī baat thī behtar thā sunte aap bhī
mashvara kuchh de rahā thā aaj merā dil mujhe
ashk āñkhoñ meñ umañD aa.e añdherā chhā gayā
kuchh na sūjhā jab nazar aa.ī mirī manzil mujhe
zindagī ko be-haqīqat maiñ samajhtā thā kabhī
hai magar ab maut bhī andesha-e-bātil mujhe
mujh ko in taaza bahāroñ se hai kyā hāsil 'bahār'
har gul-e-ḳhandāñ nazar aatā hai zaḳhm-e-dil mujhe
kaun se aalam mein le aaya hai mera dil mujhe
DhunDhti phirti hai har jaanib meri manzil mujhe
main to ek shisha tha shahr-e-sang mein kyon aa gaya
zinda rahna ho gaya hai ab bahut mushkil mujhe
azm-e-mohkam ho to ban jata hai maqsad rahbar
KHud sahaara degi fikr-e-duri-e-manzil mujhe
naKHuda se kya gharaz parwarda-e-tufan hun main
mauj ke daman mein aata hai nazar sahil mujhe
jo mere kal tak rahe the ham-KHayal-o-ham-nigah
aaj unhen pahchanna bhi hai bahut mushkil mujhe
sunne wali baat thi behtar tha sunte aap bhi
mashwara kuchh de raha tha aaj mera dil mujhe
ashk aankhon mein umanD aae andhera chha gaya
kuchh na sujha jab nazar aai meri manzil mujhe
zindagi ko be-haqiqat main samajhta tha kabhi
hai magar ab maut bhi andesha-e-baatil mujhe
mujh ko in taza bahaaron se hai kya hasil 'bahaar'
har gul-e-KHandan nazar aata hai zaKHm-e-dil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.