kaun se dar par use deni hai dastak yaad hai
kaun se dar par use deni hai dastak yaad hai
Muhammad Raza Hyderi
MORE BYMuhammad Raza Hyderi
kaun se dar par use denī hai dastak yaad hai
har gadā ko apnī ḳhuddārī kā gāhak yaad hai
yaad hai bhīgā thā terā jism jab bārish ke baa'd
kis tarah toḌī thī maiñ ne apnī ainak yaad hai
bhuul baiThā huuñ kitāboñ aur clāssoñ ke sabaq
tum ne lekin jo paḌhāyā thā vo ab tak yaad hai
maiñ batātā huuñ tumhārī yaad rakhtā huuñ kahāñ
ye mire siine meñ jo hotī hai dhak-dhak yaad hai
is liye chup-chāp haiñ sab aadmī is zulm par
un ko mazlūmoñ kā maz.hab aur maslak yaad hai
shahr meñ aa.e to mujh se mil ke jaatī hai 'razā'
bad-nasībī ko azal se merī baiThak yaad hai
kaun se dar par use deni hai dastak yaad hai
har gada ko apni KHuddari ka gahak yaad hai
yaad hai bhiga tha tera jism jab barish ke ba'd
kis tarah toDi thi main ne apni ainak yaad hai
bhul baiTha hun kitabon aur classon ke sabaq
tum ne lekin jo paDhaya tha wo ab tak yaad hai
main batata hun tumhaari yaad rakhta hun kahan
ye mere sine mein jo hoti hai dhak-dhak yaad hai
is liye chup-chap hain sab aadmi is zulm par
un ko mazlumon ka mazhab aur maslak yaad hai
shahr mein aae to mujh se mil ke jati hai 'raza'
bad-nasibi ko azal se meri baiThak yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.