kaun se dil se kin aankhon ye tamasha dekhun
kaun se dil se kin aankhon ye tamasha dekhun
Tariq Rashid Darvesh
MORE BYTariq Rashid Darvesh
kaun se dil se kin āñkhoñ ye tamāshā dekhūñ
sach jo boleñ sar-e-bāzār unheñ rusvā dekhūñ
merī āshufta-sarī mujh se yahī chāhtī hai
shahroñ aur galiyoñ meñ har dam tirā charchā dekhūñ
kyā ye mumkin hai ki maiḳhāne meñ pyāsā rah kar
jaam pe jaam meñ auroñ ko luñDhātā dekhūñ
merī āshufta-mizājī kā taqāzā hai yahī
sar meñ har roz maiñ apne nayā saudā dekhūñ
kaun se dil se kin aankhon ye tamasha dekhun
sach jo bolen sar-e-bazar unhen ruswa dekhun
meri aashufta-sari mujh se yahi chahti hai
shahron aur galiyon mein har dam tera charcha dekhun
kya ye mumkin hai ki maiKHane mein pyasa rah kar
jam pe jam mein auron ko lunDhata dekhun
meri aashufta-mizaji ka taqaza hai yahi
sar mein har roz main apne naya sauda dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.