kaun se ghaT chaDhe kis ki dua le koi
kaun se ghaaT chaḌhe kis kī duā le koī
zindagī pyaas nahīñ hai ki bujhā le koī
jāgtā huuñ ki is Iflās-zada bastī meñ
kis ko ma.alūm mire ḳhvāb churā le koī
dasht-e-hālāt meñ yādoñ se ham-āġhoshī-e-dil
jaise ik eid tire saath manā le koī
apne gajre mirī sāñsoñ meñ piro de varna
phuul ke saath chaman bhī na uḌā le koī
khul ga.e qāfila-e-yās ke parcham 'ishrat'
har guzargāh-e-tamannā ko sajā le koī
kaun se ghaT chaDhe kis ki dua le koi
zindagi pyas nahin hai ki bujha le koi
jagta hun ki is Iflas-zada basti mein
kis ko malum mere KHwab chura le koi
dasht-e-haalat mein yaadon se ham-aghoshi-e-dil
jaise ek eid tere sath mana le koi
apne gajre meri sanson mein piro de warna
phul ke sath chaman bhi na uDa le koi
khul gae qafila-e-yas ke parcham 'ishrat'
har guzargah-e-tamanna ko saja le koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.