kaun se jurm ki aaKHir ye saza deta hai
kaun se jurm kī āḳhir ye sazā detā hai
ghar paḌosī kā paḌosī hī jalā detā hai
sab ne chhiḌke haiñ namak zaḳhm pe mere ab tak
dekhnā hai ki mujhe kaun davā detā hai
koshisheñ laakh karo dosto lekin sun lo
kāmyābī kā ye sehrā to ḳhudā detā hai
ishq ma.asūm hai ma.asūm rahegā har dam
aap kā husn hī sho.aloñ ko havā detā hai
ye jo 'iqbāl' hai us ko hai ġhazab kī ta.alīm
ye to dushman ke bhī har aib chhupā detā hai
kaun se jurm ki aaKHir ye saza deta hai
ghar paDosi ka paDosi hi jala deta hai
sab ne chhiDke hain namak zaKHm pe mere ab tak
dekhna hai ki mujhe kaun dawa deta hai
koshishen lakh karo dosto lekin sun lo
kaamyabi ka ye sehra to KHuda deta hai
ishq masum hai masum rahega har dam
aap ka husn hi shoalon ko hawa deta hai
ye jo 'iqbaal' hai us ko hai ghazab ki talim
ye to dushman ke bhi har aib chhupa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.