kaun se shahr mein kis ghar mein kahan hona hai
kaun se shahr mein kis ghar mein kahan hona hai
Hashim Raza Jalalpuri
MORE BYHashim Raza Jalalpuri
kaun se shahr meñ kis ghar meñ kahāñ honā hai
maiñ vahāñ hotā nahīñ mujh ko jahāñ honā hai
ek jugnū ne ye nukta mujhe ta.alīm kiyā
kis pe poshīda raho kis pe ayaañ honā hai
is liye taultī rahtī haiñ paroñ ko rūheñ
hukm aate hī sar-e-arsh-e-ravāñ honā hai
vaqt aa pahuñchā hai ab taḳht girā.e jaa.eñ
dosto ham se hī ye kār-e-garāñ honā hai
is qadar dil ne ḳhasāra to nahīñ sochā thā
ye to tai thā ki mohabbat meñ ziyāñ honā hai
maz.hab-e-ishq meñ jaa.ez hai sabhī kuchh 'hāshim'
aaj tum jaan ho kal dushman-e-jāñ honā hai
kaun se shahr mein kis ghar mein kahan hona hai
main wahan hota nahin mujh ko jahan hona hai
ek jugnu ne ye nukta mujhe talim kiya
kis pe poshida raho kis pe ayan hona hai
is liye taulti rahti hain paron ko ruhen
hukm aate hi sar-e-arsh-e-rawan hona hai
waqt aa pahuncha hai ab taKHt girae jaen
dosto hum se hi ye kar-e-garan hona hai
is qadar dil ne KHasara to nahin socha tha
ye to tai tha ki mohabbat mein ziyan hona hai
mazhab-e-ishq mein jaez hai sabhi kuchh 'hashim'
aaj tum jaan ho kal dushman-e-jaan hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.