kaun si aisi lauh-e-jabin hai
kaun sī aisī lauh-e-jabīñ hai
jis par terā naqsh nahīñ hai
haal vahī hai dil ke ziyāñ kā
lekin ab ehsās nahīñ hai
jis ko falak bhī dekh rahe haiñ
arsh-nishāñ vo merī zamīñ hai
aa.ī chaman meñ fasl-e-bahārāñ
koī magar dil-shād nahīñ hai
qasr-e-dil ko Dhāne vaale
dekh to is meñ kaun makīñ hai
ḳhuub hai yuuñ to terā naġhma
dil kī magar āvāz nahīñ hai
ab hai ye aalam jān-e-masarrat
dil ko fareb-e-ġham bhī nahīñ hai
dekh rahā huuñ hāl-e-nasheman
lab pe magar fariyād nahīñ hai
aur bhī taa.ir haiñ gulshan meñ
koī magar dam-sāz nahīñ hai
shak to kisī sūrat meñ hamdam
husn-e-yaqīñ hai aur na yaqīñ hai
kaun si aisi lauh-e-jabin hai
jis par tera naqsh nahin hai
haal wahi hai dil ke ziyan ka
lekin ab ehsas nahin hai
jis ko falak bhi dekh rahe hain
arsh-nishan wo meri zamin hai
aai chaman mein fasl-e-bahaaran
koi magar dil-shad nahin hai
qasr-e-dil ko Dhane wale
dekh to is mein kaun makin hai
KHub hai yun to tera naghma
dil ki magar aawaz nahin hai
ab hai ye aalam jaan-e-masarrat
dil ko fareb-e-gham bhi nahin hai
dekh raha hun haal-e-nasheman
lab pe magar fariyaad nahin hai
aur bhi tair hain gulshan mein
koi magar dam-saz nahin hai
shak to kisi surat mein hamdam
husn-e-yaqin hai aur na yaqin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.