kaun si baat teri humse uThai na gai
kaun si baat teri humse uThai na gai
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
kaun sī baat tirī ham se uThā.ī na ga.ī
par jafā-jū tirī ye nit kī laḌā.ī na ga.ī
na kahā thā ki tū qātil ho mirā maiñ maqtūl
sarnavisht apnī kisī hī se miTā.ī na ga.ī
qasd har chand kiyā sīkhne kā bulbul ne
vaz.a naale kī mirī us se uḌaa.ī na ga.ī
dil-e-sozāñ kī 'jahāñdār' tire tā-ba-falak
kaun sī aah thī jo misl-e-havā.ī na ga.ī
kaun si baat teri hum se uThai na gai
par jafa-ju teri ye nit ki laDai na gai
na kaha tha ki tu qatil ho mera main maqtul
sarnawisht apni kisi hi se miTai na gai
qasd har chand kiya sikhne ka bulbul ne
waza nale ki meri us se uDai na gai
dil-e-sozan ki 'jahandar' tere ta-ba-falak
kaun si aah thi jo misl-e-hawai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.