kaun si diwaron se main Takraya na
kaun sī dīvāroñ se maiñ Takrāyā na
vaqt se aage lekin maiñ jā paayā na
saare aqīde habs ke ma.abad haiñ jin meñ
kabhī havā kā jhoñkā tak bhī aayā na
us kī yaad meñ saarī umr gañvā baiThā
merā kabhī ḳhayāl bhī jis ko aayā na
us ne jab sannāTe kī dīvār chunī
tum ne bhī to us dam shor machāyā na
jaane us ke lahje meñ kyā jaadū thā
kisī ne us kī bātoñ ko jhuThlāyā na
bas ik ka.abe kā patthar hī bachā 'faqīh'
varna mujh par kaun sā patthar aayā na
kaun si diwaron se main Takraya na
waqt se aage lekin main ja paya na
sare aqide habs ke mabad hain jin mein
kabhi hawa ka jhonka tak bhi aaya na
us ki yaad mein sari umr ganwa baiTha
mera kabhi KHayal bhi jis ko aaya na
us ne jab sannaTe ki diwar chuni
tum ne bhi to us dam shor machaya na
jaane us ke lahje mein kya jadu tha
kisi ne us ki baaton ko jhuThlaya na
bas ek kabe ka patthar hi bacha 'faqih'
warna mujh par kaun sa patthar aaya na
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 623)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.