kaun si ja hai jahan husn ka shohra na hua
kaun si ja hai jahan husn ka shohra na hua
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
kaun sī jā hai jahāñ husn kā shohrā na huā
ishq bechāra kahāñ dahr meñ rusvā na huā
ishq dariyā hai koī jis kā kinārā na huā
nāḳhudā koī nahīñ koī safīna na huā
kaise ehsās ho mahrūmī-e-qismat kā use
lazzat-e-dard se jo dil se shanāsā na huā
haath uThā.e jo duā ko to tujhe hī māñgā
ye to allāh se saudā huā sajda na huā
kyoñ na anjām-e-tamannā se sañvar jaa.e dil
ishq kī raah meñ kab ḳhūn-e-tamannā na huā
ek vo haiñ jo terī yaad meñ ro lete haiñ
ham ko ashkoñ kā bhī is ġham meñ sahārā na huā
be-ruḳhī kā hai gilā kyoñ tujhe dilbar se 'habīb'
pyaar karne kā tujhe ḳhud hī salīqa na huā
kaun si ja hai jahan husn ka shohra na hua
ishq bechaara kahan dahr mein ruswa na hua
ishq dariya hai koi jis ka kinara na hua
naKHuda koi nahin koi safina na hua
kaise ehsas ho mahrumi-e-qismat ka use
lazzat-e-dard se jo dil se shanasa na hua
hath uThae jo dua ko to tujhe hi manga
ye to allah se sauda hua sajda na hua
kyon na anjam-e-tamanna se sanwar jae dil
ishq ki rah mein kab KHun-e-tamanna na hua
ek wo hain jo teri yaad mein ro lete hain
hum ko ashkon ka bhi is gham mein sahaara na hua
be-ruKHi ka hai gila kyon tujhe dilbar se 'habib'
pyar karne ka tujhe KHud hi saliqa na hua
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 83)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.