kaun si maKHluq hai ye KHak par
kaun sī maḳhlūq hai ye ḳhaak par
chāhtī hai thūknā aflāk par
khaal khīñcheñ aap is gustāḳh kī
phuul kāḌhe aap kī poshāk par
apne hī sāyoñ pe mañDlāte uqaab
gidh bane utreñge arz-e-pāk par
fikr hai ghar kī na un ko sar kā hosh
bas kahīñ makkhī na baiThe naak par
baḌhtā hī jaatā hai ik malbe kā Dher
chaak toḌe jā rahe haiñ chaak par
ghar ke mālik to khañDar ke bīchoñ-bīch
laḌ rahe haiñ ab ḳhas-o-ḳhāshāk par
log haiñ yā turbatoñ ke sūkhe phuul
hañs rahe haiñ dīda-e-namnāk par
kaun si maKHluq hai ye KHak par
chahti hai thukna aflak par
khaal khinchen aap is gustaKH ki
phul kaDhe aap ki poshak par
apne hi sayon pe manDlate uqab
gidh bane utrenge arz-e-pak par
fikr hai ghar ki na un ko sar ka hosh
bas kahin makkhi na baiThe nak par
baDhta hi jata hai ek malbe ka Dher
chaak toDe ja rahe hain chaak par
ghar ke malik to khanDar ke bichon-bich
laD rahe hain ab KHas-o-KHashak par
log hain ya turbaton ke sukhe phul
hans rahe hain dida-e-namnak par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.