kaun sukh-chain se hai kis ki pazirai hai
kaun sukh-chain se hai kis kī pazīrā.ī hai
terī duniyā meñ har ik moḌ pe rusvā.ī hai
jhiil sī āñkheñ tirī aur gulābī tire hoñT
merī chāhat ke hī sadqe meñ ye ra.anā.ī hai
maiñ jo chup-chāp sā baiThā huuñ tirī mahfil meñ
ye mirā shauq nahīñ zarbat-e-tanhā.ī hai
ghar meñ ghuT ghuT ke hī mar jaate haiñ bīmār ġharīb
ab shifā-ḳhāne meñ is auj pe mahñgā.ī hai
maiñ samundar to nahīñ adnā sā shā.ir huuñ magar
dariyā se baḌh ke mire sher meñ gahrā.ī hai
jaan kar bhī nahīñ pahchānte haiñ 'shauqī' log
terī bastī meñ ajab tarz-e-shanāsā.ī hai
kaun sukh-chain se hai kis ki pazirai hai
teri duniya mein har ek moD pe ruswai hai
jhil si aankhen teri aur gulabi tere honT
meri chahat ke hi sadqe mein ye ranai hai
main jo chup-chap sa baiTha hun teri mahfil mein
ye mera shauq nahin zarbat-e-tanhai hai
ghar mein ghuT ghuT ke hi mar jate hain bimar gharib
ab shifa-KHane mein is auj pe mahngai hai
main samundar to nahin adna sa shair hun magar
dariya se baDh ke mere sher mein gahrai hai
jaan kar bhi nahin pahchante hain 'shauqi' log
teri basti mein ajab tarz-e-shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.