kaun sulagte aansu roke aag ke TukDe kaun chabae
kaun sulagte aañsū roke aag ke TukḌe kaun chabā.e
ai ham ko samjhāne vaale koī tujhe kyuuñ kar samjhā.e
jīvan ke andhiyāre path par jis ne terā saath diyā thā
dekh kahīñ vo komal aashā aañsū ban kar TuuT na jaa.e
is duniyā ke rahne vaale apnā apnā ġham khāte haiñ
kaun parāyā rog ḳharīde kaun parāyā dukh apnā.e
haa.e mirī māyūs ummīdeñ vaa.e mire nākām irāde
marne kī tadbīr na sūjhī jiine ke andāz na aa.e
is duniyā ke ġham-ḳhāne meñ ġham se itnī fursat kab hai
kaun sitāroñ kā muñh chūme kaun bahāroñ meñ lahrā.e
zabt bhī kab tak ho saktā hai sabr kī bhī ik had hotī hai
pal bhar chain na paane vaalā kab tak apnā rog chhupā.e
'shād' vahī āvāra shā.er jis ne tujh se pyaar kiyā thā
shahroñ shahroñ ghuum rahā hai armānoñ kī laash uThā.e
kaun sulagte aansu roke aag ke TukDe kaun chabae
ai hum ko samjhane wale koi tujhe kyun kar samjhae
jiwan ke andhiyare path par jis ne tera sath diya tha
dekh kahin wo komal aasha aansu ban kar TuT na jae
is duniya ke rahne wale apna apna gham khate hain
kaun paraya rog KHaride kaun paraya dukh apnae
hae meri mayus ummiden wae mere nakaam irade
marne ki tadbir na sujhi jine ke andaz na aae
is duniya ke gham-KHane mein gham se itni fursat kab hai
kaun sitaron ka munh chume kaun bahaaron mein lahrae
zabt bhi kab tak ho sakta hai sabr ki bhi ek had hoti hai
pal bhar chain na pane wala kab tak apna rog chhupae
'shad' wahi aawara shaer jis ne tujh se pyar kiya tha
shahron shahron ghum raha hai armanon ki lash uThae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.