kaun sune ai paikar-e-nāz
merī dard-bharī āvāz
aaj tabī.at hai nā-sāz
chheḌ mire zaḳhmoñ kā saaz
saath na aaya saaya tak
kis ko kaheñ apnā ham raaz
dard musībat ranj malāl
ḳhuub hai ulfat kā āġhāz
lahr uThī thī man meñ ek
chheḌ ga.ī sapnoñ kā saaz
un ke ruḳh-e-pākīza par
chāñdnī shab ne paḌhī namāz
terī mohabbat kī ḳhātir
ham ne uThā.e maut ke naaz
pyaar bhare har lamhe ne
khol diye sadiyoñ ke raaz
donoñ jaan haiñ mahfil kī
mere naġhme tere saaz
'rāj’ gagan se ūñchī hai
tere sheroñ kī parvāz
kaun sune ai paikar-e-naz
meri dard-bhari aawaz
aaj tabiat hai na-saz
chheD mere zaKHmon ka saz
sath na aaya saya tak
kis ko kahen apna hum raaz
dard musibat ranj malal
KHub hai ulfat ka aaghaz
lahr uThi thi man mein ek
chheD gai sapnon ka saz
un ke ruKH-e-pakiza par
chandni shab ne paDhi namaz
teri mohabbat ki KHatir
hum ne uThae maut ke naz
pyar bhare har lamhe ne
khol diye sadiyon ke raaz
donon jaan hain mahfil ki
mere naghme tere saz
'raj’ gagan se unchi hai
tere sheron ki parwaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.