kaun tha apna bazm mein teri kis se dad-e-wafa lete
kaun thā apnā bazm meñ terī kis se dād-e-vafā lete
terā ishāra ho jaatā to dil kā dard sunā lete
dair-o-haram meñ jā kar ham ne kyā kyā sar Takrāyā hai
kaash kisī din paañv pe tere sar ko apne jhukā lete
jab bhī apnā jī ghabrāyā us kī galī meñ ho aa.e
ham dīvāne but ke pujārī ka.abe meñ jā kar kyā lete
apne bas kī baat nahīñ thī varna ham bhī ai 'shāriq'
chupke-chupke ashk bahā kar dil kī aag bujhā lete
kaun tha apna bazm mein teri kis se dad-e-wafa lete
tera ishaara ho jata to dil ka dard suna lete
dair-o-haram mein ja kar hum ne kya kya sar Takraya hai
kash kisi din panw pe tere sar ko apne jhuka lete
jab bhi apna ji ghabraya us ki gali mein ho aae
hum diwane but ke pujari kabe mein ja kar kya lete
apne bas ki baat nahin thi warna hum bhi ai 'shaariq'
chupke-chupke ashk baha kar dil ki aag bujha lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.