kaun tha jo gunge lafzon ko maani de gaya
kaun tha jo gunge lafzon ko maani de gaya
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
kaun thā jo gūñge lafzoñ ko ma.ānī de gayā
barf kī jhīloñ ko andāz-e-ravānī de gayā
ek jhoñkā thā mire dil ke ḳharāb-ābād meñ
nangī dīvāroñ ko tasvīreñ purānī de gayā
dāstānoñ kā koī kirdār hai ye zindagī
jo bhī aayā vo hameñ taaza kahānī de gayā
maiñ anā ke gumbad-e-dilkash meñ Thahrā bhī na thā
koī chupke se sadā-e-lan-tarānī de gayā
TūTtā kaise tilism-e-qaid-o-band-e-harf-o-lafz
vo ishāra nusḳha-e-jādū-bayānī de gayā
kaun tha jo gunge lafzon ko maani de gaya
barf ki jhilon ko andaz-e-rawani de gaya
ek jhonka tha mere dil ke KHarab-abaad mein
nangi diwaron ko taswiren purani de gaya
dastanon ka koi kirdar hai ye zindagi
jo bhi aaya wo hamein taza kahani de gaya
main ana ke gumbad-e-dilkash mein Thahra bhi na tha
koi chupke se sada-e-lan-tarani de gaya
TuTta kaise tilism-e-qaid-o-band-e-harf-o-lafz
wo ishaara nusKHa-e-jadu-bayani de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.