kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua
kaun thā vo ḳhvāb ke malbūs meñ lipTā huā
raat ke gumbad se Takrā kar palaT aa.ī sadā
maiñ to thā bikhrā huā sāhil kī piilī ret par
aur dariyā meñ thā niilā āsmāñ Duubā huā
soch kī sūkhī huī shāḳhoñ se murjhā.e hue
TuuT kar girte hue lafzoñ ko maiñ chuntā rahā
jab bhī ḳhud kī khoj meñ niklā huuñ apne jism se
kaalī tanhā.ī ke jañgal se guzarnā hī paḌā
phailtā jaatā hai ThanDī chāñdnī ke saath saath
sho.ala sho.ala lazzatoñ kī tishnagī kā dā.era
kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua
raat ke gumbad se Takra kar palaT aai sada
main to tha bikhra hua sahil ki pili ret par
aur dariya mein tha nila aasman Duba hua
soch ki sukhi hui shaKHon se murjhae hue
TuT kar girte hue lafzon ko main chunta raha
jab bhi KHud ki khoj mein nikla hun apne jism se
kali tanhai ke jangal se guzarna hi paDa
phailta jata hai ThanDi chandni ke sath sath
shoala shoala lazzaton ki tishnagi ka daera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.