kaun usko chahta meri tarah
kaun us ko chāhtā merī tarah
vo bhī tanhā ho gayā merī tarah
kah diyā kis ne ḳhudā miltā nahīñ
DhūñDhiye us kā pata merī tarah
TūTnā hī thā ta'alluq ek din
hū-ba-hū vo shaḳhs thā merī tarah
us taraf jaane lage sab rāste
shahr dīvāna huā merī tarah
muft meñ kyoñ kījiye nīñdeñ ḳharāb
haañ agar vo jāgtā merī tarah
mil gayā saarā takabbur ḳhaak meñ
miT gayā merā likhā merī tarah
kaun us ko chahta meri tarah
wo bhi tanha ho gaya meri tarah
kah diya kis ne KHuda milta nahin
DhunDhiye us ka pata meri tarah
TuTna hi tha ta'alluq ek din
hu-ba-hu wo shaKHs tha meri tarah
us taraf jaane lage sab raste
shahr diwana hua meri tarah
muft mein kyon kijiye ninden KHarab
han agar wo jagta meri tarah
mil gaya sara takabbur KHak mein
miT gaya mera likha meri tarah
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 89)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.