kaun wo baaten sunta hai jo fasl-e-junun ke bab mein hain
kaun wo baaten sunta hai jo fasl-e-junun ke bab mein hain
Farigh Bukhari
MORE BYFarigh Bukhari
kaun vo bāteñ suntā hai jo fasl-e-junūñ ke baab meñ haiñ
kis kis ko bedār karūñ sab sūraj mere ḳhvāb meñ haiñ
biphre paanī kī maujeñ har ghar kī chhat pe raqsāñ haiñ
ḳhair manā.ūñ kis kis kī sab shahr mire sailāb meñ haiñ
chūnā-gach dīvāroñ meñ jhāñko to ḳharābe pāoge
merī tarah kitne hī yahāñ suqrāt mire ahbāb meñ haiñ
kis kuufī ne ḳhat ke pahre lagā.e haiñ paḌhtī āñkhoñ par
kitne hī mafhūm abhī tak lafzoñ ke girdāb meñ haiñ
jin sadmoñ se guzre haiñ ye kab ke TuuT ga.e hote
yuuñ lagtā hai jaise koī faulād mire a.asāb meñ haiñ
patthar-des meñ kis ko sunā.e jā ke koī fariyād apnī
jaane kitne hashr bapā 'fāriġh' ke dil-e-betāb meñ haiñ
kaun wo baaten sunta hai jo fasl-e-junun ke bab mein hain
kis kis ko bedar karun sab suraj mere KHwab mein hain
biphre pani ki maujen har ghar ki chhat pe raqsan hain
KHair manaun kis kis ki sab shahr mere sailab mein hain
chuna-gach diwaron mein jhanko to KHarabe paoge
meri tarah kitne hi yahan suqraat mere ahbab mein hain
kis kufi ne KHat ke pahre lagae hain paDhti aankhon par
kitne hi mafhum abhi tak lafzon ke girdab mein hain
jin sadmon se guzre hain ye kab ke TuT gae hote
yun lagta hai jaise koi faulad mere aasab mein hain
patthar-des mein kis ko sunae ja ke koi fariyaad apni
jaane kitne hashr bapa 'farigh' ke dil-e-betab mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.