kaun ye aag liye roz yahan aata hai
kaun ye aag liye roz yahāñ aatā hai
saañs letā huuñ to andar se dhuāñ aatā hai
ham ne to pyaas bujhānī hai faqat ashkoñ se
dasht-e-hijrāñ se kahāñ āb-e-ravāñ aatā hai
ye bhī kaafī hai ki vo yaad to kartā hai mujhe
koī milne ko bhalā roz kahāñ aatā hai
hijr ik aisā ilāqa hai ki jis se aage
girya-e-dil ke liye shahr-e-ziyāñ aatā hai
maiñ tire jaane se nārāz nahīñ huuñ ai dost
peḌ jhaḌ jaate haiñ jab daur-e-ḳhizāñ aatā hai
kaun sī raah pe tū chhoḌ gayā hai mujh ko
ḳhatm hotā hai safar aur na makāñ aatā hai
is jagah kaise koī ḳhvāb-e-mohabbat dekhe
raat ke vaqt jahāñ shor-e-sagāñ aatā hai
ye zamīñ is liye ābād hai 'ḳhālid-sajjād'
ek dar hai ki jahāñ saarā jahāñ aatā hai
kaun ye aag liye roz yahan aata hai
sans leta hun to andar se dhuan aata hai
hum ne to pyas bujhani hai faqat ashkon se
dasht-e-hijran se kahan aab-e-rawan aata hai
ye bhi kafi hai ki wo yaad to karta hai mujhe
koi milne ko bhala roz kahan aata hai
hijr ek aisa ilaqa hai ki jis se aage
girya-e-dil ke liye shahr-e-ziyan aata hai
main tere jaane se naraaz nahin hun ai dost
peD jhaD jate hain jab daur-e-KHizan aata hai
kaun si rah pe tu chhoD gaya hai mujh ko
KHatm hota hai safar aur na makan aata hai
is jagah kaise koi KHwab-e-mohabbat dekhe
raat ke waqt jahan shor-e-sagan aata hai
ye zamin is liye aabaad hai 'KHalid-sajjad'
ek dar hai ki jahan sara jahan aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.