kaun ye raushni ko samjhae
kaun ye raushnī ko samjhā.e
saath dete nahīñ kabhī saa.e
raaz khul jaa.e phir vo raaz kahāñ
baat hī kyā jo lab pe aa jaa.e
ghar hamesha hī be-charāġh rahā
daaġh siine ke lau na de paa.e
chāñdnī khal rahī hai un kī tarah
guzre lamhāt kitne yaad aa.e
tire kūche meñ sub.h-dam aksar
dekh kar phuul ham ko sharmā.e
dhuup meñ mere saath chalte haiñ
un kī palkoñ ke dil-nashīñ saa.e
ham sukūñ kī talāsh meñ āḳhir
tere kūche meñ phir chale aa.e
roz jaatā huuñ mai-kade kī taraf
kaash ye dil kabhī bahal jaa.e
ab ḳharābāt meñ vo rind kahāñ
shab ga.e sub.h kī ḳhabar laa.e
bū-e-mai se mahak rahā hai dimāġh
bū-e-gul kī havas nikal jaa.e
mai-kada vaqt hī pe khultā hai
'vajd' be-vaqt kyuuñ chale aa.e
kaun ye raushni ko samjhae
sath dete nahin kabhi sae
raaz khul jae phir wo raaz kahan
baat hi kya jo lab pe aa jae
ghar hamesha hi be-charagh raha
dagh sine ke lau na de pae
chandni khal rahi hai un ki tarah
guzre lamhat kitne yaad aae
tere kuche mein subh-dam aksar
dekh kar phul hum ko sharmae
dhup mein mere sath chalte hain
un ki palkon ke dil-nashin sae
hum sukun ki talash mein aaKHir
tere kuche mein phir chale aae
roz jata hun mai-kade ki taraf
kash ye dil kabhi bahal jae
ab KHarabaat mein wo rind kahan
shab gae subh ki KHabar lae
bu-e-mai se mahak raha hai dimagh
bu-e-gul ki hawas nikal jae
mai-kada waqt hi pe khulta hai
'wajd' be-waqt kyun chale aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.