kaunsi chiz hai jo puri hai
kaunsī chiiz hai jo puurī hai
zindagī aaj bhī adhūrī hai
nekiyāñ kar ke sochnā kaisā
koī badla mile zarūrī hai
kāmyābī kā raaz batlā.ūñ
avvalīñ shart jī-huzūrī hai
ham ne kaaTe haiñ din qayāmat ke
ġham kī ye raat bhī ubūrī hai
vahī be-iltifātī-e-jānāñ
vahī īzā-e-nā-subūrī hai
ḳhaak huuñ phir bhī sharmsār nahīñ
ek gosha to dil kā nuurī hai
dil ko aksar kachoktā hai 'zafar'
koī ehsās-e-lā-shu.ūrī hai
kaunsi chiz hai jo puri hai
zindagi aaj bhi adhuri hai
nekiyan kar ke sochna kaisa
koi badla mile zaruri hai
kaamyabi ka raaz batlaun
awwalin shart ji-huzuri hai
hum ne kaTe hain din qayamat ke
gham ki ye raat bhi uburi hai
wahi be-iltifati-e-jaanan
wahi iza-e-na-suburi hai
KHak hun phir bhi sharmsar nahin
ek gosha to dil ka nuri hai
dil ko aksar kachokta hai 'zafar'
koi ehsas-e-la-shuuri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.