kha jaega ye jaan ko aazar dekhna
khā jā.egā ye jaan ko āzār dekhnā
pahroñ kisī ko sūrat-e-dīvār dekhnā
aahaT sī ek paanā dar-e-jāñ ke ās-pās
saaya sā ik fasīl ke us paar dekhnā
mere libās meñ kabhī phir kar galī galī
merī nazar se shahr kā kirdār dekhnā
kha jaega ye jaan ko aazar dekhna
pahron kisi ko surat-e-diwar dekhna
aahaT si ek pana dar-e-jaan ke aas-pas
saya sa ek fasil ke us par dekhna
mere libas mein kabhi phir kar gali gali
meri nazar se shahr ka kirdar dekhna
- Book : Lauh-e-Jahan (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.