khae jata hai musalsal jo ye gham kis ka hai
khaa.e jaatā hai musalsal jo ye ġham kis kā hai
yaad kis kī hai ye āḳhir ye bharam kis kā hai
aañkh meñ sahrā sī ḳhāmoshī hai vīrānī hai
shor kaisā hai bapā dil pe qadam kis kā hai
sach ko likhtā bhī nahīñ jhuuT batātā bhī nahīñ
saf.ha kis kā hai sahāfī ye qalam kis kā hai
zindagānī ko na.e rang 'atā kartā hai
is qadar shoḳh-adā zulm-o-sitam kis kā hai
sab hai mauqūf mashiyyat pe usī kī jānāñ
‘ālam-e-āh-o-bukā ranj-o-alam kis kā hai
dil kā vīrāna bhī ābād huā jaatā hai
mehrbāñ kaun hai ye fazl-o-karam kis kā hai
khae jata hai musalsal jo ye gham kis ka hai
yaad kis ki hai ye aaKHir ye bharam kis ka hai
aankh mein sahra si KHamoshi hai virani hai
shor kaisa hai bapa dil pe qadam kis ka hai
sach ko likhta bhi nahin jhuT batata bhi nahin
safha kis ka hai sahafi ye qalam kis ka hai
zindagani ko nae rang 'ata karta hai
is qadar shoKH-ada zulm-o-sitam kis ka hai
sab hai mauquf mashiyyat pe usi ki jaanan
‘alam-e-ah-o-buka ranj-o-alam kis ka hai
dil ka virana bhi aabaad hua jata hai
mehrban kaun hai ye fazl-o-karam kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.