KHaif meri aankhen hain virani se
ḳhā.if merī āñkheñ haiñ vīrānī se
dekh rahī hai duniyā kis hairānī se
Dūbne vaalā kashtī meñ baiThā hī rahā
sat.h-e-āb pe mar ga.e kitne paanī se
chāñd ko bhī kahte haiñ chandā-māmā ham
sīkhī ye tahzīb hai ham ne naanī se
jhūTī baat banāo jitnā ban paa.e
sīkhī ham ne baat ye ek kahānī se
kyoñ bekār chhiḌakte ho 'rizvāñ' par jaan
kitnā pyaar hai tum ko dushman-e-jānī se
KHaif meri aankhen hain virani se
dekh rahi hai duniya kis hairani se
Dubne wala kashti mein baiTha hi raha
sath-e-ab pe mar gae kitne pani se
chand ko bhi kahte hain chanda-mama hum
sikhi ye tahzib hai hum ne nani se
jhuTi baat banao jitna ban pae
sikhi hum ne baat ye ek kahani se
kyon bekar chhiDakte ho 'rizwan' par jaan
kitna pyar hai tum ko dushman-e-jaani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.