khai hai jo qasam wo hamein hai qasam aziz
khaa.ī hai jo qasam vo hameñ hai qasam 'azīz
'armān' kī qasam mujhe merā sanam 'azīz
rakkhe haiñ us ne ziist meñ jab se qadam 'azīz
us ke qadam 'azīz ḳhudā kī qasam 'azīz
hañsnā sisaknā rūThnā milnā vo bārhā
har ik adā.eñ aap kī haiñ mohtaram 'azīz
uñglī jo kaaT Daalī hai yūsuf ko dekh kar
us mah-jabīn-e-misr kī har ik qasam 'azīz
haiñ bā-shu'ūr jo bhī vo mere 'azīz haiñ
kaise kahūñ maiñ aap ko haiñ aap kam 'azīz
shahr-e-suḳhanvarāñ kā suḳhanvar huuñ adnā sā
merā suḳhan 'azīz hai merā qalam 'azīz
jo kuchh diyā hai us ne vo dil se qubūl hai
har ik ḳhushī 'azīz hai har ek ġham 'azīz
kal raat maiñ ne aa.ine se pūchh hī liyā
kitne hameñ 'azīz haiñ kitnoñ ko ham 'azīz
khai hai jo qasam wo hamein hai qasam 'aziz
'arman' ki qasam mujhe mera sanam 'aziz
rakkhe hain us ne zist mein jab se qadam 'aziz
us ke qadam 'aziz KHuda ki qasam 'aziz
hansna sisakna ruThna milna wo barha
har ek adaen aap ki hain mohtaram 'aziz
ungli jo kaT Dali hai yusuf ko dekh kar
us mah-jabin-e-misr ki har ek qasam 'aziz
hain ba-shu'ur jo bhi wo mere 'aziz hain
kaise kahun main aap ko hain aap kam 'aziz
shahr-e-suKHanwaran ka suKHanwar hun adna sa
mera suKHan 'aziz hai mera qalam 'aziz
jo kuchh diya hai us ne wo dil se qubul hai
har ek KHushi 'aziz hai har ek gham 'aziz
kal raat main ne aaine se puchh hi liya
kitne hamein 'aziz hain kitnon ko hum 'aziz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.