KHak dohrae dastan koi
ḳhaak dohrā.e dāstāñ koī
baat suntā hai kab kahāñ koī
chhoḌiye apnī koshish-e-parvāz
haath aatā hai āsmāñ koī
saaf rakh apne dil kā ā.īna
mil hī jā.egā qadr-dāñ koī
kab se baiThe haiñ husn-o-ishq ḳhamosh
baat lāzim hai darmiyāñ koī
ḳhaak uḌātā huā na chal zālim
dil na ho jaa.e be-nishāñ koī
KHak dohrae dastan koi
baat sunta hai kab kahan koi
chhoDiye apni koshish-e-parwaz
hath aata hai aasman koi
saf rakh apne dil ka aaina
mil hi jaega qadr-dan koi
kab se baiThe hain husn-o-ishq KHamosh
baat lazim hai darmiyan koi
KHak uData hua na chal zalim
dil na ho jae be-nishan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.