KHak ho jaenge kirdar ye jaane mane
ḳhaak ho jā.eñge kirdār ye jaane maane
aur miTTī se mileñge sabhī tāne-bāne
zindagī kī to kabhī bhar na sakī almārī
pur kiye maiñ ne tamannāoñ ke saare ḳhāne
ham ye kin tund havāoñ kī zadoñ meñ aa.e
ham parinde to faqat aa.e the chugne daane
mujh ko dariyāoñ ne sahrāoñ meñ thāme rakkhā
maiñ ne dariyāoñ meñ Daale the kisī pal aane
canvas chāroñ taraf phailā huā hai 'zīshān'
par nahīñ zehn jo tasvīr ko puurā jaane
KHak ho jaenge kirdar ye jaane mane
aur miTTi se milenge sabhi tane-bane
zindagi ki to kabhi bhar na saki almari
pur kiye main ne tamannaon ke sare KHane
hum ye kin tund hawaon ki zadon mein aae
hum parinde to faqat aae the chugne dane
mujh ko dariyaon ne sahraon mein thame rakkha
main ne dariyaon mein Dale the kisi pal aane
canwas chaaron taraf phaila hua hai 'zishan'
par nahin zehn jo taswir ko pura jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.