KHak ho kar bhi aasman DhunDa
ḳhaak ho kar bhī āsmāñ DhūñDā
tujh ko ham ne kahāñ kahāñ DhūñDā
ham ne rātoñ ko jaag kar aksar
TuuTe ḳhvāboñ kā har nishāñ DhūñDā
zaat kā apnī kuchh sirā na milā
ḳhud ko ham ne hai kal jahāñ DhūñDā
ishq hāsil kabhī huā hī nahīñ
umr bhar tujh ko jān-e-jāñ DhūñDā
tum ko rāhat milegī kaise 'hinā'
tum ne ghar chhoḌ kar makāñ DhūñDā
KHak ho kar bhi aasman DhunDa
tujh ko hum ne kahan kahan DhunDa
hum ne raaton ko jag kar aksar
TuTe KHwabon ka har nishan DhunDa
zat ka apni kuchh sira na mila
KHud ko hum ne hai kal jahan DhunDa
ishq hasil kabhi hua hi nahin
umr bhar tujh ko jaan-e-jaan DhunDa
tum ko rahat milegi kaise 'hina'
tum ne ghar chhoD kar makan DhunDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.