Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHak hun tur samajh aur jila de mujhko

alii maan azfar

KHak hun tur samajh aur jila de mujhko

alii maan azfar

MORE BYalii maan azfar

    ḳhaak huuñ tuur samajh aur jilā de mujh ko

    ai ḳhudā apnī tajallī ziyā de mujh ko

    maulā majzūb minallāh banā de mujh ko

    ishq-e-sādiq yuuñ me.arāj karā de mujh ko

    aisī koī bhī na ai yaar duā de mujh ko

    mar jā.ūñ koī aisī to sazā de mujh ko

    roz-e-mahshar to abhī duur hai mere allāh

    kar koī mo.ajiza aur ḳhud se milā de mujh ko

    nahīñ karnā hai mujhe ishq-e-majāzī kisī se

    maulā ishq-e-azalī karnā sikhā de mujh ko

    aaj rote hue maiñ ne to use kah diyā hai

    ki maiñ darvesh sifat huuñ bhulā de mujh ko

    tañg aane lagā huuñ zindagī uljhanoñ se

    apnī qudrat se ḳhudā rāh-e-fanā de mujh ko

    dard ehsās ḳhushī jaisī koī chiiz na ho

    ho ba-ḳhudā aisī fazā de mujh ko

    terā ehsās jilātā hai mirā dāman-e-yār

    bhuul jā.ūñ tujhe taufīq-e-ḳhudā de mujh ko

    merī manzil pata pūchhte haiñ mujh se log

    kuchh to kar aisā tamāshā banā de mujh ko

    KHak hun tur samajh aur jila de mujh ko

    ai KHuda apni tajalli ki ziya de mujh ko

    maula majzub minallah bana de mujh ko

    ishq-e-sadiq ki yun mearaj kara de mujh ko

    aisi koi bhi na ai yar dua de mujh ko

    mar hi jaun koi aisi to saza de mujh ko

    roz-e-mahshar to abhi dur hai mere allah

    kar koi moajiza aur KHud se mila de mujh ko

    nahin karna hai mujhe ishq-e-majazi kisi se

    maula ishq-e-azali karna sikha de mujh ko

    aaj rote hue main ne to use kah diya hai

    ki main darwesh sifat hun tu bhula de mujh ko

    tang aane laga hun zindagi ki uljhanon se

    apni qudrat se KHuda rah-e-fana de mujh ko

    dard ehsas KHushi jaisi koi chiz na ho

    tu hi tu ho ba-KHuda aisi faza de mujh ko

    tera ehsas jilata hai mera daman-e-yar

    bhul jaun tujhe taufiq-e-KHuda de mujh ko

    meri manzil ka pata puchhte hain mujh se log

    kuchh to kar aisa tamasha hi bana de mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now