KHak jab KHaksar lagti hai
ḳhaak jab ḳhāksār lagtī hai
kis qadar bā-vaqār lagtī hai
ḳhuun paanī banā ke piitī hai
dhuup sarmāya-dār lagtī hai
sabr kar sabr karne vāloñ kī
bebasī shāndār lagtī hai
ab bujhā do hamārī āñkheñ bhī
raushnī nāgavār lagtī hai
rat-jagoñ kī baḌī havelī ab
jangaloñ kā mazār lagtī hai
āj-kal mere paañv ke nīche
koī shai jān-dār lagtī hai
sirf aḳhbār paḌhne vāloñ ko
zindagī ishtihār lagtī hai
garm mausam meñ garm chaa.e bhī
bad-mizājoñ kā pyaar lagtī hai
KHak jab KHaksar lagti hai
kis qadar ba-waqar lagti hai
KHun pani bana ke piti hai
dhup sarmaya-dar lagti hai
sabr kar sabr karne walon ki
bebasi shandar lagti hai
ab bujha do hamari aankhen bhi
raushni nagawar lagti hai
rat-jagon ki baDi haweli ab
jangalon ka mazar lagti hai
aaj-kal mere panw ke niche
koi shai jaan-dar lagti hai
sirf aKHbar paDhne walon ko
zindagi ishtihaar lagti hai
garm mausam mein garm chae bhi
bad-mizajon ka pyar lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.