KHak ke ghar mein parinda ruh ka dhani hua
ḳhaak ke ghar meñ parinda ruuh kā dhānī huā
dekh pākīza amal se jism lā-fānī huā
jā kisī ūñchī fazāoñ meñ tū apnā aks DhūñD
maiñ faqīr-e-shahr merā ḳhvāb sailānī huā
maiñ jise tārīkiyoñ meñ chhoḌ aayā thā kabhī
zehn kī āñkhoñ meñ vo chehra bhī nūrānī huā
phir mire kirdār kā raushan huā hai mo.ajiza
phir mire zer-e-qadam ik tāj-e-sultānī huā
raunaqeñ saarī uḌā kar le ga.ī shaitānī havā
ab ke saara shahr 'aḳhtar' nazr-e-vīrānī huā
KHak ke ghar mein parinda ruh ka dhani hua
dekh pakiza amal se jism la-fani hua
ja kisi unchi fazaon mein tu apna aks DhunD
main faqir-e-shahr mera KHwab sailani hua
main jise tarikiyon mein chhoD aaya tha kabhi
zehn ki aankhon mein wo chehra bhi nurani hua
phir mere kirdar ka raushan hua hai moajiza
phir mere zer-e-qadam ek taj-e-sultani hua
raunaqen sari uDa kar le gai shaitani hawa
ab ke sara shahr 'aKHtar' nazr-e-virani hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.