KHak ke putlon mein patthar ke badan ko wasta
ḳhaak ke putloñ meñ patthar ke badan ko vāstā
is sanam-ḳhāne meñ saarī umr mujh se hī paḌā
jab safar kī dhuup meñ murjhā ke ham do pal ruke
ek tanhā peḌ thā merī tarah jaltā huā
jañgaloñ meñ ghūmte phirte haiñ shahroñ ke faqīh
kyā daraḳhtoñ se bhī chhin jā.egā aalam vajd kā
narm-rau paanī meñ pahroñ TikTikī bāñdhe hue
ek chehra dekhtā thā boltā sā ā.īna
ye siyāhī ḳhuun meñ ik roz mil jā.egī jab
chaudhvīñ kā chāñd kamre meñ utar aa.e to kyā
KHak ke putlon mein patthar ke badan ko wasta
is sanam-KHane mein sari umr mujh se hi paDa
jab safar ki dhup mein murjha ke hum do pal ruke
ek tanha peD tha meri tarah jalta hua
jangalon mein ghumte phirte hain shahron ke faqih
kya daraKHton se bhi chhin jaega aalam wajd ka
narm-rau pani mein pahron TikTiki bandhe hue
ek chehra dekhta tha bolta sa aaina
ye siyahi KHun mein ek roz mil jaegi jab
chaudhwin ka chand kamre mein utar aae to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.