KHak ko jis dam jauhar ka idrak hua
ḳhaak ko jis dam jauhar kā idrāk huā
zarra zamīñ se uTThā aur aflāk huā
khulte khulte us ko bhī kuchh vaqt lagā
hote hote maiñ bhī kuchh bebāk huā
dhīre dhīre kirnoñ kī yalġhār huī
dhīre dhīre raat kā siina chaak huā
dasht-e-junūñ se zanjīroñ kā shor uThā
ret uḌātā sahrā vahshat-nāk huā
saare bakheḌe ek zarā sī der ke the
tār-e-nafas jab TuuTā qissa paak huā
rafta rafta shāḳh-e-badan par phuul khile
rafta rafta ḳhud meñ vo chālāk huā
KHak ko jis dam jauhar ka idrak hua
zarra zamin se uTTha aur aflak hua
khulte khulte us ko bhi kuchh waqt laga
hote hote main bhi kuchh bebak hua
dhire dhire kirnon ki yalghaar hui
dhire dhire raat ka sina chaak hua
dasht-e-junun se zanjiron ka shor uTha
ret uData sahra wahshat-nak hua
sare bakheDe ek zara si der ke the
tar-e-nafas jab TuTa qissa pak hua
rafta rafta shaKH-e-badan par phul khile
rafta rafta KHud mein wo chaalak hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.