KHak le jaen yahan se ki hawa le jaen
ḳhaak le jaa.eñ yahāñ se ki havā le jaa.eñ
kyā tire shahr meñ ham chhoḌ deñ kyā le jaa.eñ
bahr-e-ġham ham se bhī pairāk na dekhe hoñge
Dūbte jaa.eñ magar ḳhud ko sañbhāle jaa.eñ
ḳhushk pattoñ pe na tahrīr-e-mohabbat likkho
kal kahīñ in ko havā.eñ na uḌā le jaa.eñ
jaan māñge hai bahut un se ta'alluq rakhnā
jo bichhaḌne ke liye raah nikāle jaa.eñ
hārne vāloñ ne is ruḳh se bhī sochā hogā
sar kaTānā hai to hathiyār na Daale jaa.eñ
KHak le jaen yahan se ki hawa le jaen
kya tere shahr mein hum chhoD den kya le jaen
bahr-e-gham hum se bhi pairak na dekhe honge
Dubte jaen magar KHud ko sanbhaale jaen
KHushk patton pe na tahrir-e-mohabbat likkho
kal kahin in ko hawaen na uDa le jaen
jaan mange hai bahut un se ta'alluq rakhna
jo bichhaDne ke liye rah nikale jaen
haarne walon ne is ruKH se bhi socha hoga
sar kaTana hai to hathiyar na Dale jaen
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 75)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.